-->

Youtube Full Guide How It Works In Hindi

Agar aap online paisa earn karna chahte hai to aapne youtube ka nam to suna hi hoga jaha pe aap koi bhi investment ke bina ghar bethe hi paisa kama sakte hai.

Yaha pe aapko ek successfull youtuber banne ke liye A to Z jankari mil jayegi.

Wese to bhot se aise platform hai jaha se aap online money earn kar sakte haijese ki blogging,affiliate marketing,adsense ye sab aise platform hai jaha se aap sab koi bhi investment ke bina hi paisa earn kar sakte hai ha blogging hai ye number 1 hai online earning ke liye.

Par youtube hai ye blogging se bhot hi asan tarika hai aur yaha se aapko paisa kamane me koi bhi degree ki jrurat nahi padegi jyadatar log blog banate hai aur use thode time use karte hai aur fir haar manke chod dete haipar youtube ek aisa platorm hai jaha se aap pehle hi din se paisa earn karsakte hai.

Youtube kis liye blogging se asan hai??

1.Youtube me domain ya hosting khridni nahi padti.
2.Youtube me adsense approval jaldi mil jata hai
(Aapke channel me 10,000 se jyada views ho jayenge tab adsense approval
mil jayega)
3.Youtube me pehle din se hi aap paisa earn kar sakte hai.

Youtube hame paise kyu deta hai?

Youtube dusri product ko promote karta hai aur uske paise aadhe youtube rakhta hai aur aadhe hame deta hai.youtube me aap jab koi video play karte hai to start me adds aate hai ye to aapne dekha hi hoga to ye sab product ko promote karne ke liye youtube paise leta hai aur hamare channel me uske adds show karta hai.Un adds pe koi click karta hai to hame uske paise milte hai.

Youtube se paisa kese kama sakte hai??

Aise bhot se youtuber hai jo unke videos se din me lakho kamate hai india me bb ki vines aur technical guruji ye dono channel bhot hi popular hai aur is dono channel ke subscribers millions me hai ye dono channel roz lakho rupaye kamate hai.

Youtube se paisa kamane ke liye :

1.Youtube pe channel bnaye :
sabse pehle step hai ki aap youtube pe apna channel bnale aur use ek acha sa naam dede.aapke channel me aap kese videos upload karoge uske hisab se aap apne channel ka naam rkhiye jese ki aap ka tech channel hai to tech se related nam rakhe jisse aap jyada se jyada subscriber gain kar sakenge aur agar aap dusri kisi chiz me expert hai to aap us hisab se apna channel bnaye.

Apne channel ka logo banale aur uska ek acha sa banner bana le.

2.Youtube ko adsense se jode :
Dusra step hai adsense ko youtube se link karna aapko paisa earn karne ke liye aapke youtube ko adsense se jodna padega.
youtube ko adsense se jodna pehle bhot asan tha aapne 2-3 video bnaye aur adsense ke liye request kiya to 2 din me aapko approval mil jata tha par ab new terms aye hai usme aapko apke channel me 10,000 se jyada views hoge tab jakar aap adsense ke liye request kar sakte hai.

Agar aapke channel me 10,000 views ho gaye to aap adsense ke liye req kare aur 1 ya 2 din me aapko confirmation mail mil jayega iske baad aap apne videos ko monetize kar sakte hai aur aapke videos me bhi adds ana shuru ho jayenge.

Kese youtube ke videos me jyada views laye??

Apne videos ko social sites pe promote kare :
Aap apne videos ko whatsapp,facebook,twitter,instagram aur bhot se aise bade social sites hai jaha pe aap share kar sakte hai aur apne channel me jyada se jyada views la sakte hai.

Aap facebook me apne videos ko share kare aur apne friends ko bhi kahe ki wo use share kare  whatsapp me groups me videos send kare twitter pe apne videos share kare is tarah aap apne videos me jyada se jyada views la sakte hai aur jaldi hi 10,000 views cross kar denge.

Thumbnail acha bnaye :
Videos me jyada views lane ke liye aap thumbnail acha aur attractive bnaye jisse aap apne videos me jyada view la sakenge.
Agar aapka thumbnail attreactive hoga to koi bhi apka video dekhna chahega par agar apka thumbnail acha nahi hoga to log aapke videos ko ignore karenge.To guys aap apke videos ka thumbnail best eye catching banaye.

Video ka name acha rakhe :
Ek succesfull youtuber bannne ke liye ye step bhot hi important hai aapke video ka name kesa hai aur aap apne video ka aisa konsa name rakhenge jisse aapke videos me jyada views aaye hai apke videos viral ho jaye.

Aapko apne videos ko top pe lane ke liye aapko keyword research karni hogi aapke video ka keyword acha hoga to ap apne videos me jaldi views badha sakenge Acha keyword search karne ke liye aap google ka keyword planner tool use kar sakte hai ye free tool hai.

Aap ko 100 subscriber gain karne ke liye bhot mehnat karni padegi kyuki pehle ke 100 subscriber gain karna bhot hi mushkil hota hai aur bhot se log har manke youtube ko chod dete hai agar aap hamare upar diye gaye sab tips follow karenge to aap 100 subscriber bhot jald gain kar lenge.

Kya bhul na kare ???

Kisike videos ko copy na kare ye youtube ke terms and condition ke khilaf hai agar aap aisa karte hai to apke channel se monetization disable kar diya jayega.Wese sabse pehle aapka monetization 1 month ke liye disable hoga  iske baad bhi agar aapne koi galti ki to 6 month ke liye disable hoga aur agar tisri bar bhi apne galti ki to apka adsense permenant disable ho
jayega to friends aap koi bhi videos upload kare to aap koi copyright material use na kre.

kitna paisa milega aapko?
Ye sab apke views pe depend karta hai agar aapke videos india me chalte hai to aapko kam paise milenge aur agar aapke videos videsh me dekhe jate hai to uske aapko jyada paise milenge kyuki india me adds saste hote hai aur videsh ke adds mehnge hote hai

Agar hamara video india me chak raha hai to hame per click 0.10$  ya 0.20 ke aaspas milega aur agar hamara video videsh me dekha jaye to hame 0.50 se 1$ tak paise milenge.

Aur koi youtube se related jankari chahiye to aap hame contact kar sakte hai
ya fir comment me bata dijiye ham aapke problem ko solve karne ka try karenge


LEAVE A COMMENT ()