-->

Google Opinion Rewards Se Paise Kaise Kamaye

Google Opinion Rewards Se Paise kamane ka tarika :

Google opinion rewards ek survey related app hain jismne hame surveys diye jaate hain aur un survey ko pura karne ke hame paise milte hain.Is application ko google dwara develop kiya gaya hain aur yah app android users aur ios users dono ke liye available hain.

Guys to aapko pata chal hi gaya hoga ki google opinion rewars app kya hain aur kis tarah se kaam karti hain.Aapko is app ke baare mein pata to chal gaya hai par aap kis tarah se jyada se jyada surveys paa ke is app se unlimited erning kar sakenge.

google opinion rewards

Is post mein mein aapko is app ke baare mein jyada se jyada jaankari dunga aur kuch tricks dunga jiska upyog karke aap is app se achchi earning kar sakenge woh bhi ghar bethe.


Also Read :

◙  Make Money Online Using 5 Best Android Applications 

◙  How To Make Money From Telegram

◙  How To Earn Paytm Cash Free New Updeted 2018

Yah app pehle india mein available nahi tha.Starting mein yah app kucch countries mein hi launch hua tha par 2017 se yah app india ke sath sath aur 22 country mein available ho gaya hain.


What is google opinion rewards ???  (Google opinion rewards kya hain) :

Google opinion rewards ek app hain jo hame surveys send karta hain Aur jab hum un surveys ko bharte hain to yah app hame google play credit deta hai jiska upyog hum google playstore se koi bhi applications ya gamed kharid sakte hain.

Is app mein hume hotel reviews,google services aur merchant satisfaction survey jaise survey deta hain jiska aapko sahi sahi answer dena hota hai agar aap honestly sabhi answer denge to aapko credit achcha milega.


Trick To Earn Unlimited Rewards In Google Opinion Rewards :

Yaha par mein aapko kuch aise tips dene wala hun jiska istemaal karke aap jyada se jyada surveys apne app mein paa sakenge.Agar aapne is app ko istemaal karna sikh liya to aap ko jyada se jyada surveys milenge.So guys aap ho sake to sabhi surveys ka honestly answer de jisse aapko is app mein se jyada se jyada surveys milenge.


  • Aap jab bhi kisi place par travel karke jaaye to us waqt aap apne mobile ka gps enable rakhe isse fayda yahi hoga ki aapko is app mein aapke place ke related surveys milenge jiska aapko honestly anwer dena hoga.
  • Aap apne mobile mein har roz is app ko open karke dekhe isse google ko lagega ki is person ko surveys mein interest hain aur wo aapko jyada se jyada surveys dega.
  • Aap jab bhi kisi surveys ke answer de rahe ho to aap honestly sabhi answer de kyunki google ko pata hain ki aap kya search karte hai aur kya nahi to ho sake to sahi sahi answer de jisse aapko achche credit milenge.
  • Google opinion rewards app ko updated rakhe jisse aapko bahut fayda hoga
  • Festivals mein is app ko jyada se jyada use kre aur check karte rahe ki aapko survey mila hain ya nahi agar aapko survey mila hain to use aap pura kare kyunki festivals mein google play rewards jyada rewards deta hain.



Google Opinion Rewards Mein Account Kaise Banaye :

Google opinion rewards android user aur ios users dono ke liye available hain.Android users is app ko google playstore se download kar sakte hain aur ios users is app ko appstorese download kar sakte hain.
  
  • Sabse pehle aap is app ko apne smartphone mein download karlein
  • Download hone ke baad is app ko open karke aap apni gmail id se login karlein
  • Jaise hi aap login karenge turant aapko is app ke terms aur condition show honge to simply aapko un terms aur condition ko accept karna hain.
  • Uske baad aapko aapka naam country aur pin code ke baare mein puchega to simply aap usmein aapki sahi detail bhare.
  • Iske baad aapko aapki age,gender aur language ke baare mein puchega to aap apne hisaab se use choose karlein.
  • Jaise hi aap in sab process ko thik se karenge turant hi aapka account create ho jayega aur within 2 days aapke app mein surveys aana start ho jayenge.Jaise hi aap un surveys ko pura karenge turant hi aapko rewards mil jaayega.

Google opinion rewards google dwara banaya gaya sabse behtarin app hain jisse aap ghar bethe hi earn kar sakte hain.Agar aapko anya koi sahayta chahiye to niche comment mein jaroor batayein hum aapki problem ko solve karne ka pura prayas karenge.

LEAVE A COMMENT ()