-->

Aapka Facebook Account Kon Kon Use Kar Raha Hai Kaise Jaane

Aapka facebook account kon kon use kar raha hai jane is tarah se

How to know who is using your Facebook account :

kaise jaane ki aapka facebook account aapki permission ke bagair kaun kaun use kar raha hain??

Is post mein me aapko ek tarika batane wala hun jiska upyog karke aap jaan payenge ki aapka account kitne device mein use ho raha hain aur wah device kaun kaunsi hain.

kya aapka facebook account surakshit hain???

Aaj ke is yug mein har koi facebook ka istemaal karta hain chahe wo budhe ho ya bachche ladke ho ya ladkiya.aise mein agar hamare facebook ke data koi aur dekh lein to isse hame problem ho sakti hain.kyunki facebook ek aisa platform hain jahan ham hamari photos,storys,video album sabhi share karte hain aur apne friends ya rishtedaro se sishe facebook Id se baat karte hain.

Par kya aapka facebook Ka account safe hain ye aapko pata kaise chalega???

Aapka account koi aur use to nahi kar raha na???

In sab question ke answer yaha par hain.Agar aap logo ke mann mein koi bhi shak hai ki aapka account koi aur use kar raha hain to aap tension mat lijiye kyunki aaj mein aapko is article mein yah batane wala hun ki kis tarah se aap jaan sakenge ki aap ka account kon kon use kar raha hain aur kis device se aapka facebook account login hua hai is sab cheez ki jaankari aapko is tips dwara mil jayegi.


Step To Safe Your Facebook Account :

  1.  Sabse pehle aap apne facebook Id mein login karlein.
  2.  Iske baad aap apne account ke setting par click kare.
  3. Iske baad aap setting mein security and login ka option milega waha par click kare.
  4. Jaise hi aap security aur login pe click karenge turant hi aapko un sari device ke naam dikhai denge jin jin device se aapka facebook account login ho rakha hoga.
  5.  Ab aapko simply niche scroll karke LOG OUT OF ALL SESSION par click karna hain.

Jaise hi aap log out of all session par click karenge turant hi aapka account un sabhi device mein s logout ho jayega.Iske baad aap apni facebook id ka password change karlein.

How to change your facebook account password???

  1. Sabse pehle aap apne facebook account mein login karlein
  2. Iske baad aap apne account ka setting open karlein.
  3. Iske baad aap security aur login par click karein.
  4. Security aur login open hote hi aapko niche scroll karna hai waha pe aapko change password ka option mil jaayega
  5. Change password pe click karke aap apne facebook account ka password change karlein.

To dosto aap logo ko samajh mein aa gaya hoga ki aap kis tarah se apne facebook ko dusro se surakshit rakh sakte hain.

Agar aap ne aapka facebook account kisi aur ke mobile se login kiya ho ya koi aur aapke facebook account ko hack karke chala raha ho to is method ka use karke apne facebook account ko dusro se surakshit rakh sakte hain.


LEAVE A COMMENT ()